Apne hathon ki lakiron ko mitaa le us se kahna
Phir kahin jaa ke wo ghar apna basa le us sey kahna
Dukh to chehron se ayaan hote hain aksar
In ko Dil ke koney mein koi kitna chhupa le us se kahna
Mere jazbon ki hararat se nikalna hai to phir
Mere choome huye honthon ko jala le us se kahna
Ab main lautunga na aankhon se churane ke liye
Ashk jitne bhi hon dariya mein baha le us se kahna
Lagzishyein uski kahin barbaad na kar dein usko
Waqt ka panchhi kahin usko na uraa le us se kahna
Umar dhalti hai to bichhre huye yaad aate hain
Har naye shakhs ko dil se na laga le us se kahna
Ghar ki wahshat se dara karti shab ko aksar
Roshni ke liye kisi jugnu se nibaah le us se kahna
Log patthar bhi utha lete hain ibadat ke liye
Jism apne pe koi khol chadaa le us se kahna
Yoon to har rang khila karta hai uss par lekin
TEEZ rango se zara khud ko bacha le us se kahna
Teergi raas kahan aati hai har mahve - e - safar ko
Har kisi ko wo muqaddar na bana le us se kahna
Usne yaaron ko badalte huye dekha hai nahi
Teer jitney hi mayassar hon chhuppa le us se kahna
Zard patton ki tarah bikhre mere khawaab jo hain
Unko guldaan mein phoolon sa saja le us se kahna
Meri kagaz ki wo kashti jo nishani thi meri
Ab ki barsaat ke pani mein baha le us se kahna
Usko matloob sukoon ho agar dil ki tasalli ke liye
Kisi mayoos se chehre ki duaa le us se kahna
Uske naazon ko utane mein khushi hi khushi meri
Main gaya waqt nahi Jo mujh ko bula le us se kahna
Mom ke ghar ki khwahish usey bari deir se hai
Jalte SAM ko to pahle bujha le us sey kahna
अपने हाथों की लकीरों को मिटा ले उस से कहना
फिर कहीं जा के वो घर अपना बसा ले उस से कहना
दुःख तो चेहरों से अयाँ होते हैं अक्सर
इन को दिल के कोने में कोई कितना छुपा ले उस से कहना
मेरे जज्बों की हरारत से निकलना है तो फिर
मेरे चूमे हुए होंठों को जला ले उस से कहना
अब मैं लौटूंगा न आँखों से चुराने के लिए
अश्क जितने भी हों दरिया में बहा ले उस से कहना
लग्ज़िशें उसकी कहीं बर्बाद न कर दें उसको
वक़्त का पंछी कहीं उसको न उरा ले उस से कहना
उम्र ढलती है तो बिछडे हुए याद आते हैं
हर नए शख्स को दिल से न लगा ले उस से कहना
घर की वहशत से डरा करती शब् को अक्सर
रौशनी के लिए किसी जुगनू से निबाह ले उस से कहना
लोग पत्थर भी उठा लेते हैं इबादत के लिए
जिस्म अपने पे कोई खोल चढा ले उस से कहना
यूं तो हर रंग खिला करता है उस पर लेकिन
तीज रंगों से ज़रा खुद को बचा ले उस से कहना
तीरगी रास कहाँ आती है हर महव - ए - सफ़र को
हर किसी को वो मुक़द्दर न बना ले उस से कहना
उसने यारों को बदलते हुए देखा है नहीं
तीर जितने ही मयस्सर हों छुपा ले उस से कहना
ज़र्द पत्तों की तरह बिखरे मेरे खवाब जो हैं
उनको गुलदान में फूलों सा सजा ले उस से कहना
मेरी कागज़ की वो कश्ती जो निशानी थी मेरी
अब की बरसात के पानी में बहा ले उस से कहना
उसको मतलूब सुकून हो अगर दिल की तसल्ली के लिए
किसी मायूस से चेहरे की दुआ ले उस से कहना
उसके नाजों को उठाने में ख़ुशी ही ख़ुशी मेरी
मैं गया वक़्त नहीं जो मुझ को बुला ले उस से कहना
मोम के घर की ख्वाहिश उसे बड़ी देर से है
जलते सैम को तो पहले बुझा ले उस से कहना
*********************
You have read this article Gazals (Hindi/Urdu)
with the title Apne hathon ki lakiron ko mitaa le us se kahna. You can bookmark this page URL http://liberalsmithy.blogspot.com/2009/04/apne-hathon-ki-lakiron-ko-mitaa-le-us.html. Thanks!