~*~ तेरी जुल्फें बिखरने को घटा कह दूं तो कैसा हो ~*~
Teri zulfein bikharne ko ghataa kah doon to kaisa ho
Tere aanchal ke urne ko sabaa kah doon to kaisa ho
Bazahar chup ho lekin phir bhi aankhon mein hain afsaane
Teri khaamoshiyon ko bhi sadaa kah doon to kaisa ho
Mere shikwe shikayat par bhi mujh se pyaar karti ho
Teri chahat ko main sab se judaa kah doon to kaisa ho
Teri yaadein mere dil par ajab sa shor karti hain
Teri yaadon ko gar main ek nashaa kah doon to kaisa ho
Tumhaare bin mujhe jeena bara dushwaar lagta hai
Tumhein main apne jeene ki wajaah kah doon to kaisa ho
Jo tum naraaz na ho to mujhe ek baat kahni hai
Agar main pyaar se tum ko wafaa kah doon to kaisa ho
तेरी जुल्फें बिखरने को घटा कह दूं तो कैसा हो
तेरे आँचल के उरने को सबा कह दूं तो कैसा हो
बजाहर चुप हो लेकिन फिर भी आँखों में हैं अफ़साने
तेरी खामोशियों को भी सदा कह दूं तो कैसा हो
मेरे शिकवे शिकायत पर भी मुझ से प्यार करती हो
तेरी चाहत को मैं सब से जुदा कह दूं तो कैसा हो
तेरी यादें मेरे दिल पर अजब सा शोर करती हैं
तेरी यादों को गर मैं एक नशा कह दूं तो कैसा हो
तुम्हारे बिन मुझे जीना बड़ा दुशवार लगता है
तुमहें मैं अपने जीने की वजह कह दूं तो कैसा हो
जो तुम नाराज़ न हो तो मुझे एक बात कहनी है अगर मैं प्यार से तुम को वफ़ा कह दूं तो कैसा हो ******************
~*~ Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai ~*~
Gham-E-Dil Ko Inn Aakhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai
Tarapna Bhi Hamein Aata Hai Tarpaana Bhi Aata Hai
Kisi Ki Yaad Mein Jo Zindagi Hum Ne Guzaari Hai
Hamein Woh Zindagi Apni Mohabbat Se Bhi Pyari Hai
Woh Aayein Ru-Ba-Ru Hum Dastaan Apni Sunayein Ge
Kuch Apna Dil Jalayein Ge, Kuch Unnko Aazmayein Ge
Dabe Paaon Hamein Aa Kar Kisi Ka Gud-Gudaa Dena
Woh Apna Rooth Jana Aur Woh Unnka Manaa Lena
Woh Manzar Jhaankte Hain Aaj Bhi Yaadon Ki Chilman Se
Bhula Sakta Hai Kaise Koi Woh Anzaad Bachpan Ke
Hamein Aata Nahi Hai Pyar Mein Be-Aabru Hona
Sikhaya Husn Ko Hum Ne Wafaa Mein Surkhuroo Hona
Hum Apne Khoon-E-Dil Se Zindagi Ki Maang Bhar Dein Ge
Yeh Dil Kya Cheez Hai, Hum Jaan Bhi Qurbaan Kar Dein Ge
**********************
You have read this article Gazals (Hindi/Urdu)
with the title April 2009. You can bookmark this page URL https://liberalsmithy.blogspot.com/2009/04/teri-zulfein-bikharne-ko-ghataa-kah.html. Thanks!